Alone sad shayari in English are collections of heart-touching lines that speak deeply about akelapan, tanhai and feeling alone. These powerful shayari often come from feelings of missing someone who left you behind, or broken by someone close. Whether it’s for a lonely girl or a tanha boy, each line reflects the raw truth of distance, silence, and broken from inside. From 2 lines in Alone Shayari in English to Alone but Happy Attitude Shayari Lines, they give hope and boldness. If you’re feeling empty and lonely, this akelapan shayari will help you feel at ease.
This collection of Alone sad shayari in English in Roman text will give your emotions a voice. Let’s read and share these shayari on loneliness in Hindi English text on your social media status to remind someone who left you alone and find your hidden strength in every word.
Table of Contents
ToggleFeeling Sad and Alone Shayari in English Hindi

Tarsa tha jis wujood ki qurbat ko umar bhar
Woh mil gaya to aur bhi tanhai badh gayi
Tanhai wohi log pasand karte hain
Jinhon ne ronak se chotain khai hoti hain
Tum ne acha kiya tanhai di
Kuch na dete to gila rehta
Sukoon ki khwahish insaan ko
Tanhai pasand bana deti hai
Kaun kehta hai mere bagair woh tanha hoga
Woh ek chiragh hai kahin aur jalta hoga
Woh to rehta hai mohabbat ke des mein
Usay kya khabar koi use sochta hoga
Duniya ka har talluq ek ghulami hai
Jitne zyada tanha ho, utne zyada azaad ho
Ain mumkin hai ke mujhe tanhaiyaan raas aa jaayein
Aur main har shakhs se kinara kar loon
Kuch log tohfe bhi kamaal ke dete hain
Udaasiyan, tanhaiyaan, aziyatain aur intezaar
Mujhe manzoor hai ab sab se alag rehna
Tanha rehna, chup rehna, aur sab sehna
Mere paas na baithen sahab
Meri tanhai khafa ho jaati hai
Tera pehlu tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujh par guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
Boonden barasti hain to lagta hai
Main tanha nahi rota
Doori bhi baad-e-wasl qayamat si hai
Tanhai de Khuda na kabhi qurbaton ke baad
Raas aa jaati hain tanhaiyaan bhi
Bas ek do roz bura lagta hai.
2 Lines in Alone Shayari in English

Nafrat hai to keh dete hum se
Gairon se mil kar dil kyun jalaate ho tanha
Tanhai ka ek alag hi maza hai
Ismein darr nahi hota kisi ke chhod jaane ka
Jab se laga hai tanhai ka rog mujhe
Ek ek karke chhod gaye sab log mujhe
Jis ko is fasl mein hona hai barabar ka shareek
Mere ehsas mein tanhaiyan kyun bota hai
Kabhi shor mein bhi chubhti hai tanhai
Kabhi khamoshi se bhi kaan phattay hain
Suna hai har baat ka jawab rakhti ho tum
Kya tanhai ka bhi ilaaj rakhti ho tum?
Maqsad se yaad karna hai to kabhi yaad na karna
Hum tanha zaroor hain, magar fazool nahi
Dil to karta hai ke main khareed loon teri tanhai
Magar afsos mere paas khud tanhai ke siwa kuch nahi
Hijr ki tanhai kuch yun guzaar lete hain
Mukhtalif zaaviyon se selfie utaar lete hain
Mujhe manzoor hai ab sab se alag rehna
Tanha rehna, chup rehna, sab sehna
Ab to aadat ho gayi hai yun tanha rehne ki
Halaat aur waqt ki tabdiliyon se badalne wale talluqaat se
Behtar hai ke insaan tanha rahe
Fursat mein yaad karna ho to kabhi mat karna
Main tanha zaroor hoon, magar fazool nahi
Bichhad ke zaat-e-ishq mein hue tanha
Thake tanha, gire tanha, uthe tanha, phir chale tanha
Alone Shayari for Lonely Girl

Suna hai har baat ka jawab rakhti ho tum
Kya tanhai ka bhi koi ilaaj rakhti ho tum
Chhod do mujhe tanhai mein
Ab to rabte bhi azaab lagte hain
Tanha hona, nazar andaz hone se behtar hai
Mera aur chaand ka naseeb ek jaisa hai
Woh taaron mein tanha, aur main hazaron mein tanha
Aaj khud ko itna tanha mehsoos kiya
Jaise log dafna ke chhod gaye hon
Ek tanhai ki aafat hai, guzar jaayegi
Log deewar se baatein bhi to kar lete hain
Doori bhi baad-e-wasl qayamat hai ek khalish
Tanhai de Khuda na kabhi qurbaton ke baad
Usne poocha – ji loge tanha?
Humne kaha – yaadein bewafa nahi hoti
Sabse badi jung hai, tanha baithe shakhs ka
Apne khayalat se ladna
Chhod do mujhe tanhai mein
Rabte ab azaab ban chuke hain
Kuch apnon ne hi tanha kar diya
Ghar se kaise nikloon ke yeh maddham sa chiraagh
Main nahi hoon ga to tanhai se bujh jaayega
Sakht tanhai pasand hoon, aap maghroor keh sakte hain
Yun na kaho ke kismet ki baat hai
Meri tanhai mein kuch tumhara bhi haath hai
Zindagi mein tanha chal rahe hain to kya hua
Janaaze mein hoga saara sheher, dekh lena
Khawabon ki dekhbhaal mein aankhein ujhad gayi
Tanhaiyon ki dhoop ne chehra jala diya
Akelapan Sad Shayari In English

Bohat se log achanak yunhi nahi marte
Unhein zameen mein tanhai kheench leti hai
Ab koi shikayat nahi teri narazgi se
Tu sab ko khush rakh, I am fine being alone
Waqt kabhi nahi bhar paayega un kamiyon ko
Aise log bhi humne khoye hain
Mere dil ki tamanna hai ke usay sab kuch mile
Jis ke liye usne mujhe tanha kar diya
Ae raat, tum to so jao mohabbat ki aaghosh mein
Main akela hoon, chaand ki rakhwali meri aadat hai
Kisi ke jazbaat ko itna mat chot do
Ke jab bhi aap yaad aao, sirf dard or akelapan mehsoos ho
Dil karta hai, ek din zindagi ko zeher pila doon
Har khwaish ko dawat de kar khamosh kar doon
Haqdaar to duniya mein hi the saza ke
Par humne apni majboori Allah ke hawale kar di
Jab jism se rooh nikal sakti hai
To dil se log kyun nahi nikalte?
Mohabbat ki kahani kitni choti si thi
Khushfehmi se shuru hui, aur galatfehmi pe khatam
Usne sau aib utha kar mere chehre pe maar diye
Maine sirf itna poocha tha – mohabbat mein burai kya hai?
Woh milta hi nahi tha kismet mein
Warna humne kya kuch nahi khoya usay paane ke liye
Afsos… ke dil ka haal koi nahi poochhta
Sab bas yeh poochhte hain – tere chehre ko kya hua?
Hazaar baar chup raha hoon
Lekin mera chehra bol kar tumhe lajawab kar dega
Main to sirf baat karne ko tarasta hoon
Aur ek din tum meri awaaz sunne ke liye taras jaoge
Mujhe akela chhod do, main thak gaya hoon sabr karke
Akelepan ki dard bhari zindagi se ab rishta sa ho gaya hai
Yehi likha tha meri akelepan me
Main agar pyaar karoongi to bikhar jaaoongi
Shayari on Loneliness in English Hindi
Hum ne yeh zindagi se seekha hai
Sab kuch mumkin hai, lekin sabhi nahi mumkin
Zindagi mili to kya mili, bewafa ban ke mili
Itni meri khata bhi nahi thi jitni saza mili
Ae zindagi, tujh se bhi shikayatein hain
Sambhal ja, warna tujhe bhi chhod dunga main tanha
Kuch log chhod gaye, kuch khud hi chhoot gaye
Kuch hum ne chhod diye — yahi hai akeli zindagi
Thodi si to zindagi thi
Kya tera bichhadna itna zaroori tha, ae akeli tanhai?
Zindagi hai isliye guzar rahi hai
Warna humein guzar kar zamana ho gaya
Woh bilkul zindagi ki tarah tha
Khoobsurat bhi tha… aur be-aitbaar bhi
Zindagi ka falsafa bhi ajeeb hai
Shaamein guzarti hi nahi, saal guzar jaate hain
Jise log zindagi kehte hain
Woh haadson ka ek bheed hai — akelapan ka safar hai
Ek aisa safar bhi karwaya zindagi ne
Jisme paon nahi, dil thak gaya mera — akela, behaal
Ae zindagi, ab khatam kar yeh aati jaati saanson ka silsila
Main thak gaya hoon khud ko zinda samajhte samajhte
Kaise darr jaayein maut se
Jab zindagi ka har pal azaab ban gaya ho tanha insaan ke liye
Ae zindagi, humen tujh se koi tamanna kab thi
Hum to is aas mein jeete hain… ke marna kab hai
Zindagi ja, chhod de mera peecha
Aakhir main insaan hoon, pathar to nahi — main bhi akela hoon
Alone Boy Shayari
Meri bechain aankhon mein jab woh tashreef laate hain
Tasawwur unke daaman se lipat kar raqs karta hai
Yun barasti hain tasawwur mein purani yaadein
Jaise barsaat ki rimjhim mein samaa hota hai
Josh-e-junoon mein lutf-e-tasawwur na poochhiye
Phirte hain saath saath unhein hum liye hue
Dil ke kisi kone mein basta woh aaj bhi hai
Tasveer dhundhli hai magar tasawwur aaj bhi hai
Lamha lamha mujhe veeran kiye deta hai
Bas gaya mere tasawwur mein yeh chehra kiska
Hello main tum aao, yeh kahan mere naseeb
Yeh bhi kya kam hai, tasawwur mein to aa jaate ho
Rehte hain gharq unke tasawwur mein shab-o-roz sahab
Ek din hamari jaan mohabbat mein jaayegi
Tanhai Shayari for Tanha Log
Tamam umr yunhi ho gayi basar apni
Shab-e-firaaq gayi, roz intezaar aaya
Tanha nahi hoon main
Mujh mein basa hai woh
Ab yeh aalam hai ke tanhai se tang aakar
Khud hi darwaze ki zanjeer hila dete hain
Aaina dekh kar tasalli hui
Hum ko is ghar mein jaanta hai koi
Manzil bhi uski thi, raasta bhi uska tha
Ek hum hi akele the, qafila bhi uska tha
Sabr ke ghaunt tere hijr mein peene lag jaayein
Kaash hum teri tarah chain se jeene lag jaayein
Akeela hoon, akeeli zindagi ki shaam kar dunga
Main apni har khushi tanhaiyon ke naam kar dunga
Sehra ko bara naaz tha apni weerani par
Usne dekha hi nahi aalam meri tanhai ka
Usko tamanna thi humein koi na dekhe
Hum ne ho kar tanha, unhein khushhaal kar diya
Ab to tanhai ka koi ehsas nahi hota
Ab paani mein bhi tera aks nazar aata hai
Mana ke tumse zyada door ho gaya hoon main
Magar tere hisse ka waqt aaj bhi tanha guzarta hoon main
Saara sheher uske janaaze mein shareek tha
Woh ek shakhs jo tanhai ke khauf se mar gaya
Meri chahat ki bohat lambi saza do mujh ko
Qurb tanhai mein jeene ki dua do mujh ko
Yun hai ke yahan naam-o-nishaan tak nahi tera
Aur tujh se bhari rehti hai tanhai hamari
Yun na kaho ke kismat ki baat hai
Meri tanhai mein kuch tumhara bhi haath hai
Tu bhi nahi tha mere paas dilaasay ke liye
Main apni hi baahon mein sar rakh ke ro padi
Laakh samjhao faiday mujhe tanhai ke
Mujhe jeena hi nahi tujh se kinaara karke
Jee dhoondta hai phir wahi fursat ke raat din
Baithe rahein tasawwur-e-jaan-e-jigar kiye hue
Alone Sad Life Shayari In English
Dil ki tamanna hai, intezaar ki raato mein
Beeta hua waqt, yaadon ki baaton mein
Subah ki pehli kiran muntazir hai chaandni ki raato ko
Dil ki haalat, intehai beqarari ki baaton mein
Mohabbat ki raah mein, intezaar ki roshni hai
Dil ka haal, betaabi ki intehai baaton mein
Raat ki tanhai mein, dil ki gehraiyon se
Nikalti hai aahon ki goonj intezaar ki baaton mein
Chaand ki roshni mein, dil ki daastaanen bayaan hoti hain
Intezaar ki gehraiyon se, raazon ki chaandni baaton mein
Raato ki khamoshi mein chhupi hai umeedon ki baatein
Dil ki awaaz, intezaar ki raato mein
Dil ka haal bayaan karta hai sitaron ki zabaani
Khawabon ki duniya, intezaar ki baaton mein
Mohabbat ki raahon mein paon chalte hain raazon ke khwab
Dil ki gawahi, intezaar ki raato mein
Raato ki tarah guzarte hain lamhe yaadon ki tarah
Dil ki dhadkan, intezaar ki baaton mein
Chaandni ki raato mein chhupi hai mohabbat ki kahaniyaan
Dil ka haal, intezaar ki baaton mein
Intezaar-e-yaar bhi kya lutf-e-kamaal hai
Aankhein kitaab par hoti hain, magar soch hoti hai unke khayaal par
Jab koi apna na mila dard kehte kehte
To sheesha samne rakha… aur khud ko rulaya khamoshi mein
Har raat mera dil khud se yeh poochhta rehta hai
Jo sab ke saath chalte hain… wahi log kyun tanha rehte hain?
Rone se milta to kuch nahi ae dil
Na sirf aankhon ka nuksaan hai, daaman bhi bheeg jaata hai
Hum samandar se bikhar ke aayi lehron jaise hain
Is paar bhi tanhai hai… us paar bhi tanhai
Tanhai se ab itni aadat si ho gayi hai
Ke mehfil bhi dekh kar mujhe tanha lagne lagi
Aur ghamon se aisi dosti ho gayi hai
Ke mujhe dekh kar… muskurahat bhi ro padti hai
Heart Touching Sad Alone Shayari In English
Hum ne bhi zindagi guzari thi,
Ishq hone se ishq khone tak.
Akele raat bhar tadapta raha mareez-e-shaam-e-gham,
Ghalib na tum aaye,
Na neend aayi, na chain aaya, na maut aayi.
Gale milte hain jab kabhi do bichhde hue saathi,
Hum be-saharoon ko badi takleef hoti hai.
Raat darwaze pe kitni dastakon ke nishaan the,
Phir wohi pagal hawa thi, phir mujh se dhoka hua.
Teri tamanna, tera intezar aur tanha sa main,
Thak kar muskura diya jab ro nahi paya.
Nazneen, nazaafareen, nazuk badan, nazuk mizaaj,
Ghuncha lab, rangeen ada, seemi zakh, sheereen dahan.
Nikal pada hoon kisi be-nishaan manzil ko,
Fanaa ke dasht mein, saaye ko haankta hua main.
Qabil-e-deed aankhein, aur un aankhon se
Khud hi paamaal hue, khud hi tamasha dekha.
Kaun khareedega heeron ke daam tere aansoo,
Woh jo dard ka tajir tha, sheher chhod gaya.
Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar aayi,
Duniya ki wohi raunaq, dil ki wohi tanhai.
Alone But Happy Attitude Shayari Lines

Tarsa tha jis wujood ki qurbat ko umr bhar
Woh mil gaya to aur bhi tanhai badh gayi
Tanhai wohi log pasand karte hain
Jinhon ne ronak se chotain khayi hoti hain
Tum ne acha kiya tanhai di
Kuch na dete to gila rehta
Sukoon ki khwahish insaan ko
Tanhai pasand bana deti hai
Kaun kehta hai mere bagair woh tanha hoga
Woh ek chiragh hai kahin aur jalta hoga
Woh to rehta hai mohabbat ke des mein
Usay kya khabar koi usay sochta hoga
Duniya ka har talluq ek ghulami hai
Jitne zyada tanha ho, utne zyada azaad ho
Ain mumkin hai ke mujhe tanhaiyaan raas aa jaayein
Aur main har shakhs se kinara kar loon
Kuch log tohfe bhi kamaal ke dete hain
Udaasiyan, tanhaiyaan, aziyatain aur intezaar
Mujhe manzoor hai ab sab se alag rehna
Tanha rehna, chup rehna, aur sab sehna
Mere paas na baithen sahab
Meri tanhai khafa ho jaati hai
Tera pehlu tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujh par guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
Boonden barasti hain to lagta hai
Main tanha nahi rota
Doori bhi baad-e-wasl qayamat si hoti hai
Tanhai de Khuda na kabhi qurbaton ke baad
Raas aa jaati hain tanhaiyaan bhi
Bas ek do roz bura lagta hai
Lonely Sad Shayari
Aaj phir usay yaad karke dil bhar aaya
Jo kehta tha tumhari surat achhi lagti hai
Jab chahoon mil nahi sakta
Lekin jab chahoon yaad to kar sakta hoon
Kisne kaha yeh mumkin hai
Main zinda rahoon aur tujhe yaad na karoon
Shaam hoti hai, parinday udd jaate hain talab pe
Aur mujhe teri yaad aati hai, meri kitaabon pe aansu girte hain
Woh log aksar yaad aate hain
Jinhein main dil se bhoolna chahta hoon
Bohat yaad aate ho qasam se sohne
Dua karo meri yaadasht chali jaaye
Roz tujhe yaad kar ke dil ko sukoon milta hai
Roz tujhe dekh kar kisi aur ko sochti hoon
Kitna majboor kar diya hai teri mohabbat ne
Mere haathon mein, meri yaadon mein
Hisab kar ke dekho tum be-hisab ho
Haye us mukammal shakhs ko kya khabar
Hum adhi raatein, adhe gham, aur adhe khud hain
Khushi saaz hoti ja rahi hai
Nazar awaaz hoti ja rahi hai
Nazar teri jo kabhi dil ki kiran thi
Ab zamana saaz hoti ja rahi hai
Samajh nahi aata yeh shor-e-hasti kya hai
Bas ek awaaz hoti ja rahi hai
Khamoshi jo kabhi tha parda-e-gham
Ab wahi gumaan ban ke chhup chhup ke bolti hai
Badi ke samne bhi abhi tak
Neki jhuki jhuki si dikhayi deti hai
Final Thoughts Alone sad shayari in English
than spoken words. This handpicked collection of Alone sad shayari in English touches the depth of tanhai, akelapan, and silent struggles. Whether it’s Alone Boy Shayari or a reflection of a Lonely Sad Shayari in Hindi, these lines speak to everyone. Don’t keep the feelings locked in—share your favorite ones on status or social media and let others know they’re not alone in their silence.