Hindi Shayari in English are the vollection of ever best lines including words in its way to express deep feelings using simple and emotional tone. So, you can read and share the poetry with anyone. Whether you are in love, missing someone, or feeling alone, Hindi Shayari in English helps you share those emotions. It mixes the beauty of Hindi thoughts with easy English language and diversity covering Life, sad and alone Shayari. Romantic Shayari feels more special with touching shayari lines. Alone Shayari speaks the silent pain many hide inside. Love quotes add more meaning to sweet moments.
This style of Shayari is the expression of poetry in Simple way you can easily copy and paste and put on your social media post or status. So, If you enjoy feelings written in easy and words, Hindi Shayari in English will surely make you smile or cry with its truth
Table of Contents
Toggle2 Line Shayari in English Hindi

Mere hotay huay gar tujh ko nahi fikar meri
Mere na hone se kya farq parega tujh ko
Mujhe dhoondhne ki koshish ab na kiya kar
Tu ne rasta badla to maine manzil badal li
Maine khalis aur bepanah mohabbatein
Sirf mayyaton par hi nichhawar hoti dekhi hain
Baday be-his log hain teri kainaat mein Maula
Main dard likhta hoon, waah waah karte hain
Tu ne chhoda to palat kar bhi na dekha
Jaise koi qaidi jail se riha hokar jaaye
Agar be-aib chaho to farishton se nibha kar lo
Main Aadmi ki nishani hoon, khata meri virasat hai
Jo baatein pee gaya tha main
Woh baatein khaa gayi mujh ko
Bewafai ki sab kitabon mein
Tere jaisi koi misaal nahi
Dekh lo main kya kamaal kar gaya
Zinda bhi hoon aur inteqaal kar gaya
Sadmon se log mar nahi jaate
Tumhare samne hai misaal meri
Hum to jee bhi nahi sake ek saath
Humko to ek saath marna tha
Teri bad-dua mein asar hi nahi
Main beemar to hota hoon magar marta nahi
Tu ne dekha hi nahi saath mere chal ke kabhi
Main hoon tanhai ka bhi saath nibhanay wala
Jis shakhs ne mujh ko yun bhula diya
Main phir raha hoon pagal, us shakhs ki yaad mein
Ladkiyon ke dukh ajab hote hain, sukh us se ajeeb
Hans rahi hain aur kajal bheegta hai saath saath
Kar raha tha gham-e-jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisab aaye
Ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe
Be-his bana chuki hai bohot zindagi mujhe
Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon Ya Rab
Kya lutf anjuman ka, jab dil hi bujh gaya ho
Khuda ki itni badi kainaat mein maine
Bas ek shakhs ko manga, mujhe wahi na mila
Top Hindi Shayari In English 2025
Kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye
Aur kuch meri mitti mein baghawat bhi bohot thi
Kisi ke tum ho, kisi ka Khuda hai duniya mein
Mere naseeb mein tum bhi nahi, Khuda bhi nahi
Ae mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya
Kar raha tha gham-e-jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisab aaye
Hamari yaadein chhod jaayengi is duniya ko ek din
Rohoge phir humein yaadein yaad karke
Kaise mumkin hai ke tum saath chhod jaogi
Maine manga hai tumhein tahajjud ki namazon mein
Nahi hoon ga kamzor kabhi tumhara kabhi hamara rishta
Yeh to waqt ki saazish, kabhi tum masroof, kabhi hum
Mere lafz churaane waalon
Mera dard kahan se laaoge
Waqt ke jaal mein phans gayi hoon
Main maut ka intezar karte karte thak gayi hoon
Guzar di hai ek sadi, kai saal guzar chuka hoon
Main ne is jahan mein koi insaan nahi dekha
Us se hamara na phir kabhi rabta hoga
Gar hoga to beech zameen o asmaan ka faasla hoga
Aaj to jaise din ke saath dil bhi ghuroob ho gaya
Shaam ki chai bhi gayi, maut ke darr ke saath saath
Apni ulfat se bhare dil ko yun tod kar kyun jaate ho
Ek tere hi sahare yeh dhadkanein rawaan hain meri
Yeh jo paiwasta kahani tum padhe ja rahe ho na
Mere alfaaz ki surat hai tera chehra nafees bayaan
Shikwa karoon kya teri bewafai ka Zaid
Naam kaafi hai tera bayan-e-dastaan
Har baat kehne ki nahi hoti
Kuch zakham khaye jaate hain dil pe patthar rakh kar
Ek aah bhari sukoon paa gaye Nafees hum
Haye haye pukar uthe jo dil jalaya karte the
Main aksar bhool jaata hoon talkh baatein raqeebon ki
Magar un ke raviyyon ko hamesha yaad rakhta hoon
Love Sms Shayari in English Hindito Copy Paste
Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaz de magar us ke baad sehr na ho
Ishq sunte the jise hum woh yahi hai shayad
Khud bakhud dil mein ek shakhs samaya jata
Woh ittefaq se nazdeek aaye hain lekin
Yeh ittefaq hua hai badi duaon ke baad
Mohabbat ko chhupaye lakh koi chhup nahi sakti
Yeh woh afsana hai jo be kehye mashhoor hota hai
Na jane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyar apna
Na hum ko aitbaar apna na un ko aitbaar apna
Ibtida woh thi ke jeene ke liye marta tha main
Inteha yeh hai ke marne ki bhi hasrat na rahi
Maza jab tha ke mere munh se sunte dastaan meri
Kahan se laayega qaasid dehan mera zubaan meri
Seene mein raaz-e-ishq chhupaya na jaaye ga
Yeh aag woh hai jis ko dabaya na jaaye ga
Main ghatt-ta ja raha hoon apne andar
Tumhein itna zyada kar liya hai
Ae dil tamaam nafa hai sudaye ishq mein
Ik jaan ka ziyaan hai so aisa ziyaan nahi
Ab to miliye bas ladai ho chuki
Ab to chaliye pyar ki baatein karen
Muddat mein shaam-e-wasl hui hai mujhe naseeb
Do char saal tak to ilahi sehr na ho
Mere pehlu mein woh aaya bhi to khushboo ki tarah
Main use jitna sametoon woh bikharta jaaye
Bas ek hi bila hai mohabbat kahin jise
Woh paniyon mein aag lagati hai aaj bhi.
Hindi Sad Shayari in Roman English

Tumhare baad ye dukh bhi to sehna parh raha hai
Kisi ke saath majboori mein rehna parh raha hai
Kisi se dil koi umeed mat rakh
Yahan hota nahi koi kisi ka
Aur jaante ho takleef kya hai?
Jin ke liye badle the un ka badal jana
Tum se milna zaroori nahi tha
Tumhara mil jana zaroori tha
Be dili se hi sahi magar kabhi kabhi to
Woh jo haal poochhte hain ehsaan karte hain
Tum se mehroom jo hoon
Mujhe marhoom likha jaye
Waqt sab kuch cheen leta hai
Ye to ek muskurahat thi
Parkha bohat gaya mujh ko
Lekin kabhi samjha nahi gaya
Batao koi wazifa aisa
Ke meri us tak aah pohanche
Dil ki basti weraan kar ke chala gaya
Jo shakhs kehta tha bara pyaar hai tum se
Un dino tera laut kar aana
Saansein aane se bhi zaroori hai
Mukammal sirf kahaniyaan hoti hain
Mohabbatein hamesha adhoori reh jaati hain
Apne lehje pe ghoor kar ke bata
Lafz kitne hain, teer kitne hain?
Duniya ka sab se mushkil kaam us bande ko ignore karna
Jis se baat karne ke liye aap mar rahe hon
Kisi ka dil itna mat dukhao ke
Woh tumhara naam le kar Rab ke samne ro parey
Jo tere milne se marz mila hai
Ussi marz se mar jaaun dua karna
Mohabbat mein milaawat pasand nahi mujhe
Woh mera hai to khwab bhi mere dekhe
Love Shayari in English with Hindi Text

Khoon jalaane se, Nafees, faasle kaun kam karta
Tamaasha hai tamaasha hai, duniya tamaasha kaun kam karta hai
ख़ून जलाने से, नफ़ीस, फ़ासले कौन कम करता
तमाशा है तमाशा है, दुनिया तमाशा कौन कम करता है
Yeh muqaddar tha ke shatranj ki thi chaalein jaanaan
Mere aksar rahe gardish mein sitaare, jaanaan
ये मुक़द्दर था कि शतरंज की थी चालें जानाँ
मेरे अक्सर रहे गर्दिश में सितारे, जानाँ
Khel raha hai kisi khilone ki tarah wo shakhs
Le ke meri zindagi apne haathon mein
खेल रहा है किसी खिलौने की तरह वो शख़्स
ले के मेरी ज़िंदगी अपने हाथों में
Kaun sa dukh bataun aap ko
Har dukh mein mubtala hoon main
कौन सा दुख बताऊँ आप को
हर दुख में मुब्तला हूँ मैं
Talaash karoge hum jaisa chahne wala
Jo apni yaad se zyada tumhein yaad karta hai
तलाश करोगे हम जैसा चाहने वाला
जो अपनी याद से ज़्यादा तुम्हें याद करता है
Mazrat khwah hain ae dil
Tujhe beqadron ke hawale kar baithe
माज़रत ख़्वाह हैं ऐ दिल
तुझे बेक़द्रों के हवाले कर बैठे
Kehte nahi kisi se, magar jaante hain hum
Roya zaroor ho ga bichhadne ke baad woh
कहते नहीं किसी से, मगर जानते हैं हम
रोया ज़रूर होगा बिछड़ने के बाद वो
Tum apne zulm ki inteha kar do
Kya pata phir hum jaisa be-zubaan mile na mile
तुम अपने ज़ुल्म की इंतिहा कर दो
क्या पता फिर हम जैसा बे-ज़ुबान मिले न मिले
Pyar ki Shayari in English Hindi
Milna tha ittefaq, bichharna naseeb tha
Woh itni door ho gaya jitna qareeb tha
Us ko juda huay bhi zamana bohat hua
Ab kya kahein yeh qissa purana bohat hua
Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ke nahin
Daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ke nahin
Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
Jab chali sard hawa, maine tujhe yaad kiya
Chand kaliyan nishat ki chun kar, muddaton mehve yaas rehta hoon
Tera milna khushi ki baat sahi, tujh se mil kar udaas rehta hoon
Ek lafz mohabbat ka adna yeh fasana hai
Simte to dil-e-aashiq, phaile to zamana hai
Ab tak dil-e-khush feham ko tujh se hain umeedein
Yeh aakhri shamain bhi bujhane ke liye aa
Aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak
Tumhare sheher ka mausam bara suhana lage
Main ek shaam chura loon agar bura na lage
Faasle aise bhi honge yeh kabhi socha na tha
Saamne baitha tha mere aur woh mera na tha
Yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuch
Bhool jana bhi badi baat hua karti hai
Arzoo hai ke tu yahan aaye
Aur phir umr bhar na jaye kahin
Love shayari Quotes in English
“Aakhri hichki tere zanoon pe aaye
Maut bhi main shairana chahta hoon”
“आख़िरी हिचकी तेरे ज़ानूं पे आए
मौत भी मैं शायराना चाहता हूँ”
“Mere hum nafas, mere humnawa, mujhe dost ban ke dagha na de
Main hoon dard-e-ishq se jaan-balab, mujhe zindagi ki dua na de”
“मेरे हमनफ़स, मेरे हमनवा, मुझे दोस्त बन के दग़ा ना दे
मैं हूँ दर्द-ए-इश्क़ से जान-बलब, मुझे ज़िंदगी की दुआ ना दे”
“Pooch lete woh bas mizaaj mera
Kitna aasan tha ilaaj mera”
“पूछ लेते वो बस मिज़ाज मेरा
कितना आसान था इलाज़ मेरा”
“Kitni lambi khamoshi se guzra hoon
Un se kitna kuch kehne ki koshish ki”
“कितनी लंबी ख़ामोशी से गुज़रा हूँ
उन से कितना कुछ कहने की कोशिश की”
“Badan mein jaise lahu taaziyana ho gaya hai
Use ghalay se lagaaye zamana ho gaya hai”
“बदन में जैसे लहू ताज़ियाना हो गया है
उसे गले से लगाए ज़माना हो गया है”
“Log kehte hain ke tu ab bhi khafa hai mujh se
Teri aankhon ne to kuch aur kaha hai mujh se”
“लोग कहते हैं कि तू अब भी ख़फ़ा है मुझ से
तेरी आँखों ने तो कुछ और कहा है मुझ से”
“Us ko rukhsat to kiya tha mujhe maloom na tha
Sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala”
“उस को रुख़्सत तो किया था मुझे मालूम न था
सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला”
“Aashiqi mein Mir jaise khwab mat dekha karo
Baawlay ho jaaoge mehtaab mat dekha karo”
“आशिक़ी में मीर जैसे ख़्वाब मत देखा करो
बावले हो जाओगे महताब मत देखा करो”
“Aap daulat ke tarazu mein dilon ko tolein
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain”
“आप दौलत के तराज़ू में दिलों को तोलें
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं”
Life Shayari in English Text Hindi

Shaditain dekhun! Wahshatein likhna
Sehmi sehmi si khwahishen likhna
Gum sum sa reh gaya hoon
Zindagi ke baare mein soch kar
Woh to sab beparwah hain
Main hi khud ko masroof rakhta hoon
Woh shakhs
Mere hi lashkar se ghadari kar gaya
Khud ko khud se door hokar dekhiyé
Bheed mein logon ki kho kar dekhiyé
To kehta hai khwab gire, saaz baje na naghma bane
Kya saaz tere haath mein tha? Ya tu khud hi be-dam bane
Kabhi khwab banti thi duniya
Kabhi saaz-o-naghma ki mehfil
Kahin baat karne ka bahaana na samajh lena
Yeh har dafa ka shukriya
Kya woh Nimrod ki khudai thi?
Jo har sajde pe khaak daal gayi
Piyasi dharti cheekh rahi hai pani ho
Dard ki jo bhi lehar uthe toofani ho
Veeran mere dil ka nagar dost kar gaye
Kitne haseen phool khile aur bikhar gaye
Jo gnawaya uska andaza hua
Jo gnawaya uska andaza hua
Har gosh-e-aalam mein
Har gosh-e-aalam mein zamane ki sada hoon
Khat mein likhi thi kahani guzishta dino ki
Yaadon mein khoaye to saalon beet chuke the
Farebi ronqein hi sahi
Dil lagi to hai
Bas ek qadam aur woh dar aa pahuncha teri manzil ka
Us dar par murad ke pane wale mil jate hain
Chiragh ki loh kuch aise badhak chuki thi
Hawa tez mein bhi ladkhada kar sambhal rahi thi
Woshma ji mere pyar ka ab aa gaya yaqeen
Shikwa go meri zaat se kuch kam nahi raha
Rakhti nahi hoon garchi koi hunar-nawa ka
Dil se nikal rahi hai hoga asar dua ka
Heart Broken alone shayari in english Hindi

Main hoon dil hai, tanhai hai
Tum bhi hoteto achha hota
Tanhai se kuch is qadar dosti ho gayi hai
Ke ab mehfil se dar lagne laga hai
Kitni fikr hai qudrat ko meri tanhai ki
Jagte rehte hain raat bhar sitare mere liye
Chhor do mujhe tanhai mein
Rabtay ab azaab lagte hain
Tumhare chhor jane ke baad
Tumhari yaad aur bhi zyada aati hai
Dekho na kitne udaas hain tumhare bina hum
Tars nahi aata tumhein hum ko yun tanha chhor kar
Tanhai behtar hai jhoote logon se
Aur be maqsad baton se
Jis par zehar asar nahi karta
Tanhai use bhi maar deti hai
Manzil bhi us ki thi raasta bhi us ka tha
Ek hum hi akelay thay qaafila bhi us ka tha
Apni tanhai mein behtar hoon
Mujhe zarurat nahi aarzi saharon ki
Jis ne har pal saath nibhaya hai
Woh koi aur nahi mera saya hai
Tanhaiyon mein sukoon hai
Mehfilon mein dil toot jate hain
Maine logon ki bheer mein
Logon ko logon ke liye tars’te dekha hai
Akelay reh jate hain woh log
Jo khud se zyada doosron ki fikr karte hain
Saaye ki tarah saath raha tera tasavvur
Tanhai bhi humne kabhi tanha na guzari
Yun na kahun ke qismat ki baat hai
Meri tanhai mein tera bhi haath hai
Romantic Shayari in Hindi English
Jab tum se muhabbat ki hum ne tab ja ke kahin yeh raaz khula
Marne ka saleeqa aate hi jeene ka shaoor aa jata hai
Rone walon se kaho unka bhi rona ro len
Jin ko majboori-e-halaton ne rone na diya
Sirf us ke hont kaaghaz par bana deta hoon main
Khud bana leti hai honton par hansi apni jagah
Ek kami thi Taj Mahal mein
Main ne teri tasveer laga di
Is taalluq mein nahi mumkin talaaq
Yeh muhabbat hai koi shaadi nahi
Aadmi jaan ke khata hai muhabbat mein fareb
Khud farebi hi muhabbat ka sila ho jaise
Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
Ab mujh ko nahi kuch bhi muhabbat ke siwa yaad
Silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
Warna itne to marasim thay ke aate jaate
Mere saleeqe se meri nabhi muhabbat mein
Tamaam umr mein nakaamiyon se kaam liya
Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
Sar aaina mera aks hai pas aaina koi aur hai
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai
Dil mujhe is gali mein le ja kar
Aur bhi khaak mein mila laya
Har mulaqat pe seene se lagane wale
Kitne pyaare hain mujhe chhod ke jaane wale
Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti
Na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
Koi aye Shakeel poochhe yeh junoon nahi to kya hai
Ke isi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara
Tujh se bichhdaun to teri zaat ka hissa ho jaun
Jis se marta hoon isi zeher se acha ho jaun
Attitude Shayari in Roman English

Shayad tum nawaafiq ho mere mizaj se
Teri tawakku se bhi zyada sar phira hoon
Jitni taaliyan tumhare jeetne par bajti hain
Utni taaliyan to hamari entry par bajti hain
Bare hi theek hain hum
Achay ban gaye to kaun kare ga baatein hamari
Jin ko tum ustad mante ho
Woh hamare na-laa’iq shagird hain
Paida to hum bhi sharif hi huay thay
Par log sharafat se jeene nahi dete
Jin ko toofan se uljhne ki aadat ho
Aisi kashti ko samundar bhi dua dete hain
Andaaz thoda alag rakhta hoon
Is liye logon ko ghalat lagta hoon
Kuch waqt lage ga
Is ke baad waqt hamari misaal de ga
Pehchaan aise hi nahi ban jaati
Hazaron mukhalif karne parte hain
Sirf un ke liye aam rehta hoon
Jo mere liye khaas hain
Jo khotay sikke chalte nahi bazaar mein
Woh khamiyan nikaal rahe hain hamare kirdar mein
Naam aur pehchaan bhale hi chhoti ho
Magar khud ki honi chahiye
Na peshi hogi na gawah hoga
Ab jo bhi uljhe ga tabaah hoga
Mere dushman tera ehsaan hai mujh par warna
Apne aybon pe mera dhyaan kahan tha pehlay
Apna maazi apna gharibaan aur apna zameer
Sabaq lene ki behtareen jagahon mein se hain.